aaj ka wada yunhi kal pe uThae rakhiye
aaj kā va.ada yūñhī kal pe uThā.e rakhiye
ġham-nasīboñ ko bahar-hāl jalā.e rakhiye
ḳhuun ke ghūñT piye jā.iye sahbā ke evaz
kuchh na kuchh bazm kā māhaul banā.e rakhiye
haal ke ġham kā nahīñ is ke sivā koī ilaaj
apne maazī ko kaleje se lagā.e rakhiye
jaane kab maañg le vo apnī mohabbat kā sila
kam se kam itnā lahū dil meñ bachā.e rakhiye
aaj apne se bhī chhup kar vo idhar ā.eñge
aaj kī raat charāġhoñ ko bujhā.e rakhiye
aaj ka wada yunhi kal pe uThae rakhiye
gham-nasibon ko bahar-haal jalae rakhiye
KHun ke ghunT piye jaiye sahba ke ewaz
kuchh na kuchh bazm ka mahaul banae rakhiye
haal ke gham ka nahin is ke siwa koi ilaj
apne mazi ko kaleje se lagae rakhiye
jaane kab mang le wo apni mohabbat ka sila
kam se kam itna lahu dil mein bachae rakhiye
aaj apne se bhi chhup kar wo idhar aaenge
aaj ki raat charaghon ko bujhae rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.