aaj-kal lachaar hai is watan ka aadmi
āj-kal lāchār hai is vatan kā aadmī
dard kā aḳhbār hai is vatan kā aadmī
hausloñ se likh rahā apnī qismat aap hī
ḳhud hī ḳhud-muḳhtār hai is vatan kā aadmī
yuuñ to rakhtā chāñd kī shams tāroñ kī ḳhabar
ḳhud se par aġhyār hai is vatan kā aadmī
manziloñ ke ḳhauf meñ ḳhud kā lashkar lūTtā
rāstoñ kā ḳhaar hai is vatan kā aadmī
is jahāñ ke taaj meñ mulk hiire sā mirā
aur gale kā haar hai is vatan kā aadmī
naam ho saare zamāne meñ apne mulk kā
sochtā har baar hai is vatan kā aadmī
ho gayā bezār aur be-sukūñ 'āqib' yahāñ
svārth kā bāzār hai is vatan kā aadmī
aaj-kal lachaar hai is watan ka aadmi
dard ka aKHbar hai is watan ka aadmi
hauslon se likh raha apni qismat aap hi
KHud hi KHud-muKHtar hai is watan ka aadmi
yun to rakhta chand ki shams taron ki KHabar
KHud se par aghyar hai is watan ka aadmi
manzilon ke KHauf mein KHud ka lashkar luTta
raston ka KHar hai is watan ka aadmi
is jahan ke taj mein mulk hire sa mera
aur gale ka haar hai is watan ka aadmi
nam ho sare zamane mein apne mulk ka
sochta har bar hai is watan ka aadmi
ho gaya bezar aur be-sukun 'aqib' yahan
swarth ka bazar hai is watan ka aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.