aaj-kal to ye maraz bhi hai dil-e-nashad ko
āj-kal to ye maraz bhī hai dil-e-nāshād ko
she'r kahne se ziyāda māñgtā hai daad ko
haath meñ kaasa liye dar-dar bhaTaktā hai magar
sab se kahtā hai ki Thokar maar dī imdād ko
aap ne ūñchī 'imārat ko nihārā hai sadā
dekhnā hai is kā sach to dekhiye buniyād ko
āsmāñ meñ ik kabūtar bhuuk se behāl hai
kaise utre vo zamīñ par dekh kar sayyād ko
jab bhī bachchoñ ko dikhānā zindagī kā rāsta
is se pahle pīchhe muḌ kar dekhnā ajdād ko
aaj-kal to ye maraz bhi hai dil-e-nashad ko
she'r kahne se ziyaada mangta hai dad ko
hath mein kasa liye dar-dar bhaTakta hai magar
sab se kahta hai ki Thokar mar di imdad ko
aap ne unchi 'imarat ko nihaara hai sada
dekhna hai is ka sach to dekhiye buniyaad ko
aasman mein ek kabutar bhuk se behaal hai
kaise utre wo zamin par dekh kar sayyaad ko
jab bhi bachchon ko dikhana zindagi ka rasta
is se pahle pichhe muD kar dekhna ajdad ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.