aaj ke mahaul mein insaniyat badnam hai
aaj ke māhaul meñ insāniyat badnām hai
ye inād-e-bāhamī kā hī faqat anjām hai
haq-shanāsī kā chalan ham meñ nahīñ baaqī rahā
sub.h apnī pur-alam hai pur-ḳhatar har shaam hai
haif barbādī-e-gulshan apne hī hāthoñ huī
muft meñ bād-e-ḳhizāñ ke sar pe kyuuñ ilzām hai
dhundlī dhundlī sī fazā hai mehr aur iḳhlās kī
ab rifāqat āshtī aur dostī gumnām hai
tapte sahrā se to bach kar aa ga.e the ham magar
ab qadam kaise baḌhā.eñ pur-ḳhatar har-gām hai
kyā girānī aur arzānī kī ham bāteñ kareñ
paanī mahñgā hai yahāñ aur ḳhuun saste daam hai
baap se bachche ai 'mohsin' munharif hone lage
tarbiyat aur ilm ke fuqdān kā anjām hai
aaj ke mahaul mein insaniyat badnam hai
ye inad-e-bahami ka hi faqat anjam hai
haq-shanasi ka chalan hum mein nahin baqi raha
subh apni pur-alam hai pur-KHatar har sham hai
haif barbaadi-e-gulshan apne hi hathon hui
muft mein baad-e-KHizan ke sar pe kyun ilzam hai
dhundli dhundli si faza hai mehr aur iKHlas ki
ab rifaqat aashti aur dosti gumnam hai
tapte sahra se to bach kar aa gae the hum magar
ab qadam kaise baDhaen pur-KHatar har-gam hai
kya girani aur arzani ki hum baaten karen
pani mahnga hai yahan aur KHun saste dam hai
bap se bachche ai 'mohsin' munharif hone lage
tarbiyat aur ilm ke fuqdan ka anjam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.