aaj kei raat charaghon ko bujha rahne de
aaj keī raat charāġhoñ ko bujhā rahne de
dard ko hijr ke pahlū se lagā rahne de
dekh tujh ko nahīñ andāza-e-vahshat shāyad
ik jalā ḳhema hī sahrā meñ lagā rahne de
tū mirā sāz-e-girafta nahīñ sun pā.egā
aisā kar tū mujhe tasvīr banā rahne de
tishnagī ke mire qisse na zamāne ko sunā
mujh ko dariyā ke kināre hī paḌā rahne de
kūza-gar chhoḌ gayā mujh ko bikharne ke liye
ab mirī ḳhaak ko miTTī meñ milā rahne de
ta.aziyat karnī hai ḳhud se dil-e-marhūm mujhe
ta.aziya-ḳhāne meñ ye farsh-e-azā rahne de
ḳhālī hāthoñ se duāoñ ke sivā kyā karte
jab masīhā ne kahā ab ye davā rahne de
aaj kei raat charaghon ko bujha rahne de
dard ko hijr ke pahlu se laga rahne de
dekh tujh ko nahin andaza-e-wahshat shayad
ek jala KHema hi sahra mein laga rahne de
tu mera saz-e-girafta nahin sun paega
aisa kar tu mujhe taswir bana rahne de
tishnagi ke mere qisse na zamane ko suna
mujh ko dariya ke kinare hi paDa rahne de
kuza-gar chhoD gaya mujh ko bikharne ke liye
ab meri KHak ko miTTi mein mila rahne de
taziyat karni hai KHud se dil-e-marhum mujhe
taziya-KHane mein ye farsh-e-aza rahne de
KHali hathon se duaon ke siwa kya karte
jab masiha ne kaha ab ye dawa rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.