aaj kuchh aisa mohabbat ka asar tari hai
aaj kuchh aisā mohabbat kā asar taarī hai
hosh itnā bhī nahīñ ḳhvāb kī bedārī hai
is tarah aaj se pahle to na aate the kabhī
jaane ye kis na.ī bedād kī tayyārī hai
paañv uThte nahīñ kyoñ manzil-e-jānāñ kī taraf
shauq-e-manzil na rahā yā mirī ḳhuddārī hai
ek lamha bhī hameñ izn-e-rifāqat na milā
kyā yahī aap kā ā.īn-e-vafādārī hai
kījiye tark-e-ta'alluq hī hamesha ke liye
ham se itnī hī agar aap ko bezārī hai
aaj kuchh aisa mohabbat ka asar tari hai
hosh itna bhi nahin KHwab ki bedari hai
is tarah aaj se pahle to na aate the kabhi
jaane ye kis nai bedad ki tayyari hai
panw uThte nahin kyon manzil-e-jaanan ki taraf
shauq-e-manzil na raha ya meri KHuddari hai
ek lamha bhi hamein izn-e-rifaqat na mila
kya yahi aap ka aain-e-wafadari hai
kijiye tark-e-ta'alluq hi hamesha ke liye
hum se itni hi agar aap ko bezari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.