aaj kyoñ be-hijāb hai re tū
kis ke dil kā azaab hai re tū
dekhne vaale tujh ko bol uThe
ek chaḌhtā shabāb hai re tū
dekhtā hai tujhī ko har koī
jaise taaza gulāb hai re tū
qatl kyā phir kisī kā karnā hai
kis liye be-naqāb hai re tū
tujh meñ Duubā to rah gayā Duubā
kitnī achchhī sharāb hai re tū
umr-bhar jo na ho sake hāsil
ek aisā sarāb hai re tū
tujh pe 'ādil' hai is liye shaidā
merā ik intiḳhāb hai re tū
aaj kyon be-hijab hai re tu
kis ke dil ka azab hai re tu
dekhne wale tujh ko bol uThe
ek chaDhta shabab hai re tu
dekhta hai tujhi ko har koi
jaise taza gulab hai re tu
qatl kya phir kisi ka karna hai
kis liye be-naqab hai re tu
tujh mein Duba to rah gaya Duba
kitni achchhi sharab hai re tu
umr-bhar jo na ho sake hasil
ek aisa sarab hai re tu
tujh pe 'adil' hai is liye shaida
mera ek intiKHab hai re tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.