aaj kyon makanon mein raushni nahin hoti
aaj kyoñ makānoñ meñ raushnī nahīñ hotī
log zinda rahte haiñ zindagī nahīñ hotī
jab talak na ho zaḳhmī kaun kis se laḌtā hai
be-sabab kisī se to dushmanī nahīñ hotī
pahle ye samajh liije mas.ale kā hal kyā hai
sirf mashvaroñ se to rahbarī nahīñ hotī
muḳhtalif masā.il par guftugū to āsāñ hai
jab talak na dil TuuTe shā.irī nahīñ hotī
laakh koshisheñ kiije ham badal nahīñ sakte
is taraf nazar jab tak aap kī nahīñ hotī
dūsroñ kā ġham kyā hai ye samajhnā mushkil hai
jab talak ḳhud apne se āgahī nahīñ hotī
rabt-e-bāhamī 'nashtar' apnā be-asar kab hai
phir bhī yuuñ hī milne se dostī nahīñ hotī
aaj kyon makanon mein raushni nahin hoti
log zinda rahte hain zindagi nahin hoti
jab talak na ho zaKHmi kaun kis se laDta hai
be-sabab kisi se to dushmani nahin hoti
pahle ye samajh lije masale ka hal kya hai
sirf mashwaron se to rahbari nahin hoti
muKHtalif masail par guftugu to aasan hai
jab talak na dil TuTe shairi nahin hoti
lakh koshishen kije hum badal nahin sakte
is taraf nazar jab tak aap ki nahin hoti
dusron ka gham kya hai ye samajhna mushkil hai
jab talak KHud apne se aagahi nahin hoti
rabt-e-bahami 'nashtar' apna be-asar kab hai
phir bhi yun hi milne se dosti nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.