aaj mahfil mein nae sar se sanwar aaenge
aaj mahfil mein nae sar se sanwar aaenge
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
MORE BYJitendra Mohan Sinha Rahbar
aaj mahfil meñ na.e sar se sañvar ā.eñge
un ko mā'lūm hai kuchh ahl-e-nazar ā.eñge
rū-ba-rū yaar ke gar bār-e-digar jā.eñge
kar ke ham ek baḌā mā'rka sar ā.eñge
ye to dhamkī hai ki vo ġhair ke ghar jā.eñge
ham-nashīñ dekhnā hir-phir ke idhar ā.eñge
sabr karne ko jo kahte haiñ nahīñ aate haiñ
kyā mire zaḳhm-e-jigar aap hī bhar ā.eñge
kaun ummīd merī aap se puurī hogī
kaun armān mere aap se bar ā.eñge
laakh pardoñ meñ raheñ mujh se nihāñ roz-ba-roz
ḳhvāb meñ vo mujhe har shab ko nazar ā.eñge
dar se phir us but-e-pur-fan ke hamāre naale
saaf zāhir hai ki māyūs-e-asar ā.eñge
chashm-e-bīnā se jo dekheñge mirā parda-e-dil
ai masīhā ka.ī nāsūr nazar ā.eñge
koī kah do ki bas ab aur tavaqquf na kareñ
varna ham jī se guzarne pe utar ā.eñge
nā-tavānī se hamārī tujhe kyā terā sañbhāl
ham tire sāmne phir sīna-sipar ā.eñge
āzmā.eñge ġham-e-hijr kā ik aur ‘ilāj
kar ke sahrā meñ kuchh ayyām basar ā.eñge
rahbarī ḳhaak rah-e-'ishq meñ in se hogī
dil agar hazrat-e-'rahbar' kahīñ dhar ā.eñge
aaj mahfil mein nae sar se sanwar aaenge
un ko ma'lum hai kuchh ahl-e-nazar aaenge
ru-ba-ru yar ke gar bar-e-digar jaenge
kar ke hum ek baDa ma'rka sar aaenge
ye to dhamki hai ki wo ghair ke ghar jaenge
ham-nashin dekhna hir-phir ke idhar aaenge
sabr karne ko jo kahte hain nahin aate hain
kya mere zaKHm-e-jigar aap hi bhar aaenge
kaun ummid meri aap se puri hogi
kaun arman mere aap se bar aaenge
lakh pardon mein rahen mujh se nihan roz-ba-roz
KHwab mein wo mujhe har shab ko nazar aaenge
dar se phir us but-e-pur-fan ke hamare nale
saf zahir hai ki mayus-e-asar aaenge
chashm-e-bina se jo dekhenge mera parda-e-dil
ai masiha kai nasur nazar aaenge
koi kah do ki bas ab aur tawaqquf na karen
warna hum ji se guzarne pe utar aaenge
na-tawani se hamari tujhe kya tera sanbhaal
hum tere samne phir sina-sipar aaenge
aazmaenge gham-e-hijr ka ek aur ‘ilaj
kar ke sahra mein kuchh ayyam basar aaenge
rahbari KHak rah-e-'ishq mein in se hogi
dil agar hazrat-e-'rahbar' kahin dhar aaenge
- Book : Payaam-e-Rehber (Pg. 8)
- Author : Jitendra Mohan Sinha Rehber
- Publication : Karanti Gupta & Om Parkash Gupt C-1205, Rajaji Puram, Lucknow (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.