aaj mahnga lahu se pani hai
aaj mahñgā lahū se paanī hai
sāqiyā terī mehrbānī hai
aql par maslahat ke parde haiñ
dil pe jazboñ kī hukmrānī hai
aah dil meñ na ashk āñkhoñ meñ
mujh meñ ab aag hai na paanī hai
un se kahnā sañvar ga.e jangal
un se kahnā ki rut suhānī hai
man kī daulat pe rakh nigahbānī
varna daulat to ānī-jānī hai
barf se jism par nigāh ke baad
sharm se dhuup pānī-pānī hai
phuul par itnā phūltā kyoñ hai
chand lamhoñ kī zindagānī hai
piiTh par vaar ho nahīñ saktā
merā dushman bhī ḳhāndānī hai
zaḳhm saare sajā ke rakhtā huuñ
aap ke pyaar kī nishānī hai
bas taḌapne meñ kaaT dī 'bazmī'
zindagī hijr kī kahānī hai
aaj mahnga lahu se pani hai
saqiya teri mehrbani hai
aql par maslahat ke parde hain
dil pe jazbon ki hukmrani hai
aah dil mein na ashk aankhon mein
mujh mein ab aag hai na pani hai
un se kahna sanwar gae jangal
un se kahna ki rut suhani hai
man ki daulat pe rakh nigahbani
warna daulat to aani-jaani hai
barf se jism par nigah ke baad
sharm se dhup pani-pani hai
phul par itna phulta kyon hai
chand lamhon ki zindagani hai
piTh par war ho nahin sakta
mera dushman bhi KHandani hai
zaKHm sare saja ke rakhta hun
aap ke pyar ki nishani hai
bas taDapne mein kaT di 'bazmi'
zindagi hijr ki kahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.