aaj mahsur hain dimak-zada diwaron mein
aaj mahsūr haiñ dīmak-zada dīvāroñ meñ
ham bhī shāmil the kabhī shahr ke memāroñ meñ
āḳhirash haath jalā hī liye apne ham ne
jaane kyuuñ phuul nazar aate the añgāroñ meñ
ye kisī se na kahā la.al-o-javāhar the ham
pattharoñ kī tarah bikte rahe bāzāroñ meñ
der tak dastakeñ detī rahī qismat dar par
aur ham uljhe rahe apne hī pindāroñ meñ
zindagī tere adākār the kaise ham bhī
sāmne aate rahe haiñ ka.ī kirdāroñ meñ
vaqt hai kar lo marammat abhī ghar kī 'betāb'
abhī rauzan nahīñ zāhir hue dīvāroñ meñ
aaj mahsur hain dimak-zada diwaron mein
hum bhi shamil the kabhi shahr ke memaron mein
aaKHirash hath jala hi liye apne hum ne
jaane kyun phul nazar aate the angaron mein
ye kisi se na kaha lal-o-jawahar the hum
pattharon ki tarah bikte rahe bazaron mein
der tak dastaken deti rahi qismat dar par
aur hum uljhe rahe apne hi pindaron mein
zindagi tere adakar the kaise hum bhi
samne aate rahe hain kai kirdaron mein
waqt hai kar lo marammat abhi ghar ki 'betab'
abhi rauzan nahin zahir hue diwaron mein
- Book : Falak Aasaar (Pg. 77)
- Author : Pritpal Singh Betab
- Publication : Sarsabz Publications (H.P.) (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.