aaj maiKHane ki wo baat nahin hai saqi
aaj maiḳhāne kī vo baat nahīñ hai saaqī
yā'nī ab din kī tarah raat nahīñ hai saaqī
jubba-o-qubba-o-dastār hai jin kā maz.hab
ham se aur un se mulāqāt nahīñ hai saaqī
'arsh se farsh talak dhuum machī hai jis kī
dūsrī aur koī zaat nahīñ hai saaqī
hurmat-e-mai kā hai us rind ke dāman pe lahū
jis ko pābandi-e-auqāt nahīñ hai saaqī
jo maza pīne-pilāne kā hai maiḳhāne meñ
chhup ke pī lene meñ vo baat nahīñ hai saaqī
ek ke jaam meñ ḳhuuñ ek ke sāġhar meñ sharāb
ye to ā.īn-e-musāvāt nahīñ hai saaqī
ham ko jaane meñ ta.ammul hai vo aane se rahe
ab koī shakl-e-mulāqāt nahīñ hai saaqī
jo bhī ho thoḌī bahut Dhaal de jaldī jaldī
sub.h hone ko hai ab raat nahīñ hai saaqī
mai-kada bhī vahī maikash bhī vahī mai bhī vahī
phir bhī aglī sī mudārāt nahīñ hai saaqī
shaiḳh kā haal hai kuchh sach bhī hai kuchh jhuuT bhī hai
ye nasab-nāma-e-sādāt nahīñ hai saaqī
yuuñ to maiḳhāne meñ sab jam' haiñ 'bismil' ke sivā
ik vahī mard-e-ḳharābāt nahīñ hai saaqī
aaj maiKHane ki wo baat nahin hai saqi
ya'ni ab din ki tarah raat nahin hai saqi
jubba-o-qubba-o-dastar hai jin ka mazhab
hum se aur un se mulaqat nahin hai saqi
'arsh se farsh talak dhum machi hai jis ki
dusri aur koi zat nahin hai saqi
hurmat-e-mai ka hai us rind ke daman pe lahu
jis ko pabandi-e-auqat nahin hai saqi
jo maza pine-pilane ka hai maiKHane mein
chhup ke pi lene mein wo baat nahin hai saqi
ek ke jam mein KHun ek ke saghar mein sharab
ye to aain-e-musawat nahin hai saqi
hum ko jaane mein tammul hai wo aane se rahe
ab koi shakl-e-mulaqat nahin hai saqi
jo bhi ho thoDi bahut Dhaal de jaldi jaldi
subh hone ko hai ab raat nahin hai saqi
mai-kada bhi wahi maikash bhi wahi mai bhi wahi
phir bhi agli si mudaraat nahin hai saqi
shaiKH ka haal hai kuchh sach bhi hai kuchh jhuT bhi hai
ye nasab-nama-e-sadat nahin hai saqi
yun to maiKHane mein sab jam' hain 'bismil' ke siwa
ek wahi mard-e-KHarabaat nahin hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.