aaj main aise hamd-zar mein tha
aaj maiñ aise hamd-zār meñ thā
ik tahayyur har ik nigār meñ thā
chhū ke jis gul ko log raakh hue
maiñ baqā kī usī qatār meñ thā
'azm thā qāfile ke qadmoñ meñ
dasht rauñdā huā ġhubār meñ thā
gesuoñ meñ bhī be-namak hī rahā
āb-e-shor aisā ābshār meñ thā
shahr pāgal thā shahr-yāroñ meñ
maiñ vahāñ kab kisī shumār meñ thā
fat.h duniyā ko kar rahā thā maiñ
aur yamīñ narġha-e-yasār meñ thā
ḳhalq thī dām-e-e'tibār meñ aur
shaah masrūf lūT-mār meñ thā
gardish-e-āsmāñ na thī ab ke
āsmāñ ḳhud hī gird-bār meñ thā
harf tafsīl ke ishāre the
kyā hunar us ke iḳhtisār meñ thā
'aks the us ke ā.ina-timsāl
she'r phir 'mīr' ke dayār meñ thā
yuuñ kaheñge kabhī 'nazīr' nazar
kuchh salīqa to ḳhāksār meñ thā
aaj main aise hamd-zar mein tha
ek tahayyur har ek nigar mein tha
chhu ke jis gul ko log rakh hue
main baqa ki usi qatar mein tha
'azm tha qafile ke qadmon mein
dasht raunda hua ghubar mein tha
gesuon mein bhi be-namak hi raha
aab-e-shor aisa aabshaar mein tha
shahr pagal tha shahr-yaron mein
main wahan kab kisi shumar mein tha
fath duniya ko kar raha tha main
aur yamin nargha-e-yasar mein tha
KHalq thi dam-e-e'tibar mein aur
shah masruf luT-mar mein tha
gardish-e-asman na thi ab ke
aasman KHud hi gird-bar mein tha
harf tafsil ke ishaare the
kya hunar us ke iKHtisar mein tha
'aks the us ke aaina-timsal
she'r phir 'mir' ke dayar mein tha
yun kahenge kabhi 'nazir' nazar
kuchh saliqa to KHaksar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.