aaj meri shab-e-furqat ki sahar aai hai
aaj merī shab-e-furqat kī sahar aa.ī hai
muddatoñ baa'd tirī rāhguzar aa.ī hai
dekh to liije mire ḳhūn-e-tamannā kī bahār
jis kī surḳhī mirī āñkhoñ meñ utar aa.ī hai
tū ne to tark-e-mohabbat kī qasam khaa.ī thī
kyuuñ tirī aañkh mujhe dekh ke bhar aa.ī hai
un ke pairāhan-e-rañgīñ kī mahak hai is meñ
aaj kyā bād-e-sabā ho ke udhar aa.ī hai
is meñ kuchh un kī jafā.eñ bhī to shāmil haiñ 'shamīm'
bevafā.ī kī jo tohmat mire sar aa.ī hai
aaj meri shab-e-furqat ki sahar aai hai
muddaton ba'd teri rahguzar aai hai
dekh to lije mere KHun-e-tamanna ki bahaar
jis ki surKHi meri aankhon mein utar aai hai
tu ne to tark-e-mohabbat ki qasam khai thi
kyun teri aankh mujhe dekh ke bhar aai hai
un ke pairahan-e-rangin ki mahak hai is mein
aaj kya baad-e-saba ho ke udhar aai hai
is mein kuchh un ki jafaen bhi to shamil hain 'shamim'
bewafai ki jo tohmat mere sar aai hai
- Book : Junoon (Pg. 228)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.