aaj nazron se ajab lutf ka manzar guzra
aaj nazroñ se 'ajab lutf kā manzar guzrā
koī shīsha nahīñ khiḌkī meñ to patthar guzrā
sard alsā.ī huī raat meñ chupke chupke
aaj ye kaun mirī ruuh ko chhū kar guzrā
phuul hī phuul the bikhre hue tā-hadd-e-nazar
maiñ tirī yaad meñ jis raah se ho kar guzrā
abr ke TukḌe thirakte haiñ fazā meñ har-sū
zulf bikhrātā huā kaun khule sar guzrā
dard kā diip jalāte hue ḳhāmoshī se
merā hī saaya mire paas se ho kar guzrā
nafsī-nafsī kā ye 'ālam hai ki merā hī vujūd
mere hālāt se ḳhud aañkh bachā kar guzrā
kyā kaheñ 'rind' ki is daur-e-ziyā-parvar meñ
kitnī tārīk ḳhalāoñ se muqaddar guzrā
aaj nazron se 'ajab lutf ka manzar guzra
koi shisha nahin khiDki mein to patthar guzra
sard alsai hui raat mein chupke chupke
aaj ye kaun meri ruh ko chhu kar guzra
phul hi phul the bikhre hue ta-hadd-e-nazar
main teri yaad mein jis rah se ho kar guzra
abr ke TukDe thirakte hain faza mein har-su
zulf bikhraata hua kaun khule sar guzra
dard ka dip jalate hue KHamoshi se
mera hi saya mere pas se ho kar guzra
nafsi-nafsi ka ye 'alam hai ki mera hi wujud
mere haalat se KHud aankh bacha kar guzra
kya kahen 'rind' ki is daur-e-ziya-parwar mein
kitni tarik KHalaon se muqaddar guzra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.