aaj o nala sharar-bar ho tasir ke sath
aaj o naala sharar-bār ho tāsīr ke saath
ham ne maidān badā hai falak-e-pīr ke saath
dekhnā ye hai ki mai-ḳhāne se nikle kyūñ-kar
shaiḳh aa.e to baḌī izzat-o-tauqīr ke saath
aap ne de ke sazā aur baḌhā dī jur.at
ḳhauf-e-ta.azīr bhī dil se gayā ta.azīr ke saath
dil ko is darja tirī zulf se raġhbat kyoñ hai
kyoñ nahīñ us ko mire paañv kī zanjīr ke saath
saath hī zinda-dilī ke gayā dil bhī apnā
sham.a mahfil se ga.ī sham.a kī tanvīr ke saath
aks lene meñ uThā dete haiñ mujh ko ki nahīñ
merī tasvīr bhī khiñch jaa.e na tasvīr ke saath
dasht-e-vahshat meñ bagūloñ kā tamāshā aahā
naach un kā vo mire naġhma-e-zanjīr ke saath
jaane kis jaal meñ kam-baḳht rahā us meñ asiir
paḌ ga.ī dil meñ girah zulf-e-girah-gīr ke saath
pairvī hai usī marhūm kī 'nādir' varna
shā.erī kahte haiñ jis ko vo ga.ī 'mīr' ke saath
aaj o nala sharar-bar ho tasir ke sath
hum ne maidan bada hai falak-e-pir ke sath
dekhna ye hai ki mai-KHane se nikle kyun-kar
shaiKH aae to baDi izzat-o-tauqir ke sath
aap ne de ke saza aur baDha di jurat
KHauf-e-tazir bhi dil se gaya tazir ke sath
dil ko is darja teri zulf se raghbat kyon hai
kyon nahin us ko mere panw ki zanjir ke sath
sath hi zinda-dili ke gaya dil bhi apna
shama mahfil se gai shama ki tanwir ke sath
aks lene mein uTha dete hain mujh ko ki nahin
meri taswir bhi khinch jae na taswir ke sath
dasht-e-wahshat mein bagulon ka tamasha aaha
nach un ka wo mere naghma-e-zanjir ke sath
jaane kis jal mein kam-baKHt raha us mein asir
paD gai dil mein girah zulf-e-girah-gir ke sath
pairwi hai usi marhum ki 'nadir' warna
shaeri kahte hain jis ko wo gai 'mir' ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.