aaj phir band-o-salasil ka KHayal aaya hai
Interesting Fact
October 1980
aaj phir band-o-salāsil kā ḳhayāl aayā hai
zulf-e-pur-pech kā aur dil kā ḳhayāl aayā hai
phir bagūle haiñ ravāñ bahr-e-qadam-bosī-e-shauq
qais ko lailī-e-mahmil kā ḳhayāl aayā hai
phir mah-e-gumbad-e-gardāñ se lagī hai baazī
ham ko apne mah-e-kāmil kā ḳhayāl aayā hai
aaj phir aañkh se Tapkā hai koī qatra-e-ḳhūñ
ba.ad muddat hameñ phir dil kā ḳhayāl aayā hai
kārvāñ shauq kā hai paik-e-nazar se aage
duur se qurbat-e-manzil kā ḳhayāl aayā hai
dil ko us but se hai phir ajr-e-vafā kī ummīd
sa.ī-e-be-sūd meñ hāsil kā ḳhayāl aayā hai
bāñdh kar dashna-o-ḳhanjar jo nikal aa.e ho
aaj kyā phir kisī bismil kā ḳhayāl aayā hai
aaj phir band-o-salasil ka KHayal aaya hai
zulf-e-pur-pech ka aur dil ka KHayal aaya hai
phir bagule hain rawan bahr-e-qadam-bosi-e-shauq
qais ko laili-e-mahmil ka KHayal aaya hai
phir mah-e-gumbad-e-gardan se lagi hai bazi
hum ko apne mah-e-kaamil ka KHayal aaya hai
aaj phir aankh se Tapka hai koi qatra-e-KHun
baad muddat hamein phir dil ka KHayal aaya hai
karwan shauq ka hai paik-e-nazar se aage
dur se qurbat-e-manzil ka KHayal aaya hai
dil ko us but se hai phir ajr-e-wafa ki ummid
sai-e-be-sud mein hasil ka KHayal aaya hai
bandh kar dashna-o-KHanjar jo nikal aae ho
aaj kya phir kisi bismil ka KHayal aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.