aaj phir rang pe hai sham KHuda KHair kare
aaj phir rang pe hai shaam ḳhudā ḳhair kare
phir mire haath meñ hai jaam ḳhudā ḳhair kare
log kahte haiñ ki vo mujh pe meherbān haiñ phir
un ke hoñToñ pe mirā naam ḳhudā ḳhair kare
hai ye afvāh baḌe zor pe har mahfil meñ
un ko mujh se hai koī kaam ḳhudā ḳhair kare
phir rañge-hāth mujhe dard ne aa pakḌā hai
phir mohabbat kā hai ilzām ḳhudā ḳhair kare
lākhoñ tūfān ki jis dil meñ base rahte the
āj-kal hai vahāñ ārām ḳhudā ḳhair kare
jo mujhe dekh ke nazroñ ko churā lete the
un kī āñkhoñ meñ hai paiġhām ḳhudā ḳhair kare
jaane kyā soch ke us but ne ulaT dī hai naqāb
aur phir vo bhī sar-e-bām ḳhudā ḳhair kare
yuuñ to pahle bhī ka.ī dost daġhā dete the
ab to ye baat huī 'aam ḳhudā ḳhair kare
mere mā'sūm irādoñ ne dubāra 'rāhī'
un kā āñchal hai liyā thaam ḳhudā ḳhair kare
aaj phir rang pe hai sham KHuda KHair kare
phir mere hath mein hai jam KHuda KHair kare
log kahte hain ki wo mujh pe meherban hain phir
un ke honTon pe mera nam KHuda KHair kare
hai ye afwah baDe zor pe har mahfil mein
un ko mujh se hai koi kaam KHuda KHair kare
phir range-hath mujhe dard ne aa pakDa hai
phir mohabbat ka hai ilzam KHuda KHair kare
lakhon tufan ki jis dil mein base rahte the
aaj-kal hai wahan aaram KHuda KHair kare
jo mujhe dekh ke nazron ko chura lete the
un ki aankhon mein hai paigham KHuda KHair kare
jaane kya soch ke us but ne ulaT di hai naqab
aur phir wo bhi sar-e-baam KHuda KHair kare
yun to pahle bhi kai dost dagha dete the
ab to ye baat hui 'am KHuda KHair kare
mere ma'sum iradon ne dubara 'rahi'
un ka aanchal hai liya tham KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.