aaj phir us gali mein jate hain
aaj phir us galī meñ jaate haiñ
apnī qismat ko āzmāte haiñ
lab-e-shīrīñ se dete haiñ dushnām
shahd meñ zahr vo milāte haiñ
kījiye vaar teġh-e-abrū kā
sar-e-taslīm ham jhukāte haiñ
'ishq meñ ho ga.e haiñ ham mazdūr
naaz mahbūboñ ke uThāte haiñ
mujh ko ghāyal jo un ko karnā hai
zahr meñ teġh ko bujhāte haiñ
vo baras paḌte haiñ agar mujh par
mere dil kī lagī bujhāte haiñ
zulf chhū lī jo maiñ ne vo bole
tum se gustāḳh maar khāte haiñ
hijr meñ kyā kaheñ ġhizā kyā hai
ġham-e-jāñ-kāh roz khāte haiñ
mujh se raunaq hai un kī mahfil kī
sham.a-sāñ mujh ko vo jalāte haiñ
baad murdan ye un kī dil-sozī
sham' le kar lahad pe aate haiñ
tark-e-ishq-e-butāñ kiyā ai 'badr'
ab madīne ko ham to jaate haiñ
aaj phir us gali mein jate hain
apni qismat ko aazmate hain
lab-e-shirin se dete hain dushnam
shahd mein zahr wo milate hain
kijiye war tegh-e-abru ka
sar-e-taslim hum jhukate hain
'ishq mein ho gae hain hum mazdur
naz mahbubon ke uThate hain
mujh ko ghayal jo un ko karna hai
zahr mein tegh ko bujhate hain
wo baras paDte hain agar mujh par
mere dil ki lagi bujhate hain
zulf chhu li jo main ne wo bole
tum se gustaKH mar khate hain
hijr mein kya kahen ghiza kya hai
gham-e-jaan-kah roz khate hain
mujh se raunaq hai un ki mahfil ki
shama-san mujh ko wo jalate hain
baad murdan ye un ki dil-sozi
sham' le kar lahad pe aate hain
tark-e-ishq-e-butan kiya ai 'badr'
ab madine ko hum to jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.