aaj rote hain zar-zar bahut
aaj rote haiñ zār-zār bahut
thā jinheñ qahqahoñ se pyaar bahut
vaqt pe kaun kaam aatā hai
haiñ to kahne ko mere yaar bahut
bujhne vaalā hai zindagī kā charāġh
kar liyā terā intizār bahut
maut ne jin ko ham se chhīn liyā
yaad aate haiñ ab vo yaar bahut
ab unheñ maut kī tamanna hai
thā jinheñ zindagī se pyaar bahut
ai 'samar' 'arz-e-mudda'ā karnā
un ko guzrā hai nāgavār bahut
aaj rote hain zar-zar bahut
tha jinhen qahqahon se pyar bahut
waqt pe kaun kaam aata hai
hain to kahne ko mere yar bahut
bujhne wala hai zindagi ka charagh
kar liya tera intizar bahut
maut ne jin ko hum se chhin liya
yaad aate hain ab wo yar bahut
ab unhen maut ki tamanna hai
tha jinhen zindagi se pyar bahut
ai 'samar' 'arz-e-mudda'a karna
un ko guzra hai nagawar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.