aaj suKHan ki sham karenge
aaj suḳhan kī shaam kareñge
apne ġham nīlām kareñge
badnāmī hī ik zarīya hai
varna ham kyā naam kareñge
kaam hameñ ārām kā denā
varna phir ārām kareñge
tum hī socho ham jaise kyā
aise vaise kaam kareñge
chust rahegī apnī sustī
qabr meñ bhī ārām kareñge
dekho zinda rahne vaale
dil dukh kā godām kareñge
log to jiine yā marne kī
har koshish nākām kareñge
ham marne se pahle dukh kī
daulat tere naam kareñge
fankāroñ ko to 'ādat hai
jo kuchh ḳhaas hai 'aam kareñge
aaj suKHan ki sham karenge
apne gham nilam karenge
badnami hi ek zariya hai
warna hum kya nam karenge
kaam hamein aaram ka dena
warna phir aaram karenge
tum hi socho hum jaise kya
aise waise kaam karenge
chust rahegi apni susti
qabr mein bhi aaram karenge
dekho zinda rahne wale
dil dukh ka godam karenge
log to jine ya marne ki
har koshish nakaam karenge
hum marne se pahle dukh ki
daulat tere nam karenge
fankaron ko to 'adat hai
jo kuchh KHas hai 'am karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.