aaj tak jo na mere ashk-e-rawan tak pahunche
aaj tak jo na mire ashk-e-ravāñ tak pahuñche
ġhair mumkin hai ki vo dard-e-nihāñ tak pahuñche
haa.e tālib jo hue kākul-e-ḳhamdār ke ham
dekhiye aap hī ḳhud apne ziyāñ tak pahuñche
yaad karne pe tujhe aise bhī aate haiñ ḳhayāl
aaj tak jo na kabhī mere gumāñ tak pahuñche
kaash aisī ho atā quvvat-e-guftār mujhe
maiñ yahāñ sochūñ mirī baat vahāñ tak pahuñche
kū-e-jānāñ ke liye hī nahīñ maḳhsūs rakhā
merā paiġhām mohabbat hai jahāñ tak pahuñche
ḳhuub detā hai mujhe lutf-e-safar aap kā vo
bārhā phone pe kahnā ki kahāñ tak pahuñche
raah bhaTkī hai masarrat mire kūche se magar
ranj duniyā ke sabhī mere makāñ tak pahuñche
der se hī sahī par dekh mire naqsh-e-qadam
dasht meñ qais ke har ek nishāñ tak pahuñche
shā.erī kā to mujhe shauq nahīñ thā 'afzal'
un kī nazroñ se gire haiñ to yahāñ tak pahuñche
aaj tak jo na mere ashk-e-rawan tak pahunche
ghair mumkin hai ki wo dard-e-nihan tak pahunche
hae talib jo hue kakul-e-KHamdar ke hum
dekhiye aap hi KHud apne ziyan tak pahunche
yaad karne pe tujhe aise bhi aate hain KHayal
aaj tak jo na kabhi mere guman tak pahunche
kash aisi ho ata quwwat-e-guftar mujhe
main yahan sochun meri baat wahan tak pahunche
ku-e-jaanan ke liye hi nahin maKHsus rakha
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
KHub deta hai mujhe lutf-e-safar aap ka wo
barha phone pe kahna ki kahan tak pahunche
rah bhaTki hai masarrat mere kuche se magar
ranj duniya ke sabhi mere makan tak pahunche
der se hi sahi par dekh mere naqsh-e-qadam
dasht mein qais ke har ek nishan tak pahunche
shaeri ka to mujhe shauq nahin tha 'afzal'
un ki nazron se gire hain to yahan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.