aaj tak teri haqiqat na khuli kya hai tu
aaj tak terī haqīqat na khulī kyā hai tū
koī bhī jis ko na samjhe hai muammā hai tū
dil kā matlūb hai āñkhoñ kī tamanna hai tū
rashk-e-shīrīñ jo hai tū sīrat-e-lailā hai tū
jalva-e-ruḳh se tire saarā jahāñ raushan hai
raunaq-e-bazm hai tū anjuman-ārā hai tū
ban ke lailā kahīñ mash.hūr hasīnoñ meñ huā
sūrat-e-qais kahīñ āshiq-e-shaidā hai tū
jaan aa.e tan-e-be-jāñ meñ tire milne se
apne bīmār-e-mohabbat kā masīhā hai tū
sūrat-e-qais tire husn kā shaidā huuñ maiñ
aur mere liye bhī ġhairat-e-lailā hai tū
kyā tamāshā hai ki aalam kī nazar paḌtī hai
dekhne vāloñ kī āñkhoñ kā tamāshā hai tū
kaun mehmān hai 'hāmid' ke makān-e-dil meñ
tū hī kah de ki tasavvur hai tirā yā hai tū
aaj tak teri haqiqat na khuli kya hai tu
koi bhi jis ko na samjhe hai muamma hai tu
dil ka matlub hai aankhon ki tamanna hai tu
rashk-e-shirin jo hai tu sirat-e-laila hai tu
jalwa-e-ruKH se tere sara jahan raushan hai
raunaq-e-bazm hai tu anjuman-ara hai tu
ban ke laila kahin mashhur hasinon mein hua
surat-e-qais kahin aashiq-e-shaida hai tu
jaan aae tan-e-be-jaan mein tere milne se
apne bimar-e-mohabbat ka masiha hai tu
surat-e-qais tere husn ka shaida hun main
aur mere liye bhi ghairat-e-laila hai tu
kya tamasha hai ki aalam ki nazar paDti hai
dekhne walon ki aankhon ka tamasha hai tu
kaun mehman hai 'hamid' ke makan-e-dil mein
tu hi kah de ki tasawwur hai tera ya hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.