aaj tak tu ne bata kis se wafa ki ai dost
aaj tak tū ne batā kis se vafā kī ai dost
qarya-e-dil-zadagāñ tujh se hai shākī ai dost
ye sahīfa hai mire ḳhūñ-shuda ilhāmoñ kā
na uḌā dhajjiyāñ manshūr-e-vafā kī ai dost
phuul bhī gosh-bar-āvāz sadā rahte haiñ
ye hai tāsīr mire soz-e-navā kī ai dost
rakh liyā jis ne tirī mast ḳhirāmī kā bharam
daad de mujh ko mirī laġhzish-e-pā kī ai dost
kirchiyāñ tak na rahīñ jām-o-subū kī baaqī
ḳhair se jab se huā tū mirā saaqī ai dost
sī diye lab mire in surma.ī palkoñ ne tirī
kaise rūdād kahūñ terī jafā kī ai dost
ḳhāksāroñ se mirī jaan tū dāman na bachā
qadr kar halqa-e-arbāb-e-vafā kī ai dost
jins-e-kashkol-e-muqaddar na samajh mujh ko 'razā'
itnī tauhīn na kar merī anā kī ai dost
aaj tak tu ne bata kis se wafa ki ai dost
qarya-e-dil-zadagan tujh se hai shaki ai dost
ye sahifa hai mere KHun-shuda ilhamon ka
na uDa dhajjiyan manshur-e-wafa ki ai dost
phul bhi gosh-bar-awaz sada rahte hain
ye hai tasir mere soz-e-nawa ki ai dost
rakh liya jis ne teri mast KHirami ka bharam
dad de mujh ko meri laghzish-e-pa ki ai dost
kirchiyan tak na rahin jam-o-subu ki baqi
KHair se jab se hua tu mera saqi ai dost
si diye lab mere in surmai palkon ne teri
kaise rudad kahun teri jafa ki ai dost
KHaksaron se meri jaan tu daman na bacha
qadr kar halqa-e-arbab-e-wafa ki ai dost
jins-e-kashkol-e-muqaddar na samajh mujh ko 'raza'
itni tauhin na kar meri ana ki ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.