aaj talashi li hai humne room ke kone kone ki
aaj talāshī lī hai ham ne room ke kone kone kī
sachchī jhūTī ḳhabar milī thī ik tasvīr ke hone kī
har shab niiñd se ḳhālī āñkheñ āñkhoñ par ḳhvāboñ kā bojh
aur jharoke se jhāñke hai ḳhvāhish chain se sone kī
kaise us se nain mile the vo chhoḌo ye baat suno
mujh buzdil meñ kaise aa.ī himmat us ko khone kī
jaan pe jism kī TuuTī phūTī mūrat bojh baḌhātī hai
yārab mujh meñ tāqat rakh de apnā putlā Dhone kī
merī hañsī par kaan lagā kar sunñe vaale sun ke batā
duur kahīñ se aatī hai āvāz kisī ke rone kī
aaj talashi li hai hum ne room ke kone kone ki
sachchi jhuTi KHabar mili thi ek taswir ke hone ki
har shab nind se KHali aankhen aankhon par KHwabon ka bojh
aur jharoke se jhanke hai KHwahish chain se sone ki
kaise us se nain mile the wo chhoDo ye baat suno
mujh buzdil mein kaise aai himmat us ko khone ki
jaan pe jism ki TuTi phuTi murat bojh baDhati hai
yarab mujh mein taqat rakh de apna putla Dhone ki
meri hansi par kan laga kar sunne wale sun ke bata
dur kahin se aati hai aawaz kisi ke rone ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.