aaj to din bhar teri taswir hum dekha kiye
aaj to din bhar tirī tasvīr ham dekhā kiye
ya.anī apne ḳhvāb kī ta.abīr ham dekhā kiye
ham ne dekhā hī nahīñ āñkheñ uThā kar samt-e-gul
apne dil kā zaḳhm dāman-gīr ham dekhā kiye
ishq-e-avval kī shab-e-dījūr meñ ai zindagī
zulf terī yā koī zanjīr ham dekhā kiye
aaj ham dekhā kiye chashm-e-sitam-gar ko ḳhajil
aaj apnī aah kī tāsīr ham dekhā kiye
ham ne to dekhā nahīñ apnī razā se kuchh yahāñ
jo bhī dikhlātī rahī taqdīr ham dekhā kiye
aaj to din bhar teri taswir hum dekha kiye
yani apne KHwab ki tabir hum dekha kiye
hum ne dekha hi nahin aankhen uTha kar samt-e-gul
apne dil ka zaKHm daman-gir hum dekha kiye
ishq-e-awwal ki shab-e-dijur mein ai zindagi
zulf teri ya koi zanjir hum dekha kiye
aaj hum dekha kiye chashm-e-sitam-gar ko KHajil
aaj apni aah ki tasir hum dekha kiye
hum ne to dekha nahin apni raza se kuchh yahan
jo bhi dikhlati rahi taqdir hum dekha kiye
- Book : Tishnagi (Pg. 26)
- Author : Minu Bakhshi
- Publication : Educational Publishing House
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.