aaj ulfat ki purani ek kahani yaad aai
aaj ulfat kī purānī ik kahānī yaad aa.ī
shādmānī yaad aa.ī sar-girānī yaad aa.ī
bhuul baiThe the ham is kī ahmiyat kaafī dinoñ se
maut se paalā paḌā to zindagānī yaad aa.ī
zindagī kī raah meñ be-fikr chalte jā rahe the
hādse hone lage to sāvdhānī yaad aa.ī
zindagī ko raat din bahte hue dekhā yahāñ to
sāgaroñ ke pāniyoñ ko bhī ravānī yaad aa.ī
kāmyābī haath se mere phisalne lag ga.ī jab
tab kahīñ jā kar mujhe bhī jāñ-fishānī yaad aa.ī
aaj ulfat ki purani ek kahani yaad aai
shadmani yaad aai sar-girani yaad aai
bhul baiThe the hum is ki ahmiyat kafi dinon se
maut se pala paDa to zindagani yaad aai
zindagi ki rah mein be-fikr chalte ja rahe the
hadse hone lage to sawdhani yaad aai
zindagi ko raat din bahte hue dekha yahan to
sagaron ke paniyon ko bhi rawani yaad aai
kaamyabi hath se mere phisalne lag gai jab
tab kahin ja kar mujhe bhi jaan-fishani yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.