aaj un par raaz-e-dil ifsha karen
aaj un par rāz-e-dil ifshā kareñ
husn ko maġhrūr-o-ḳhud-ārā kareñ
chand din un ko na ab dekhā kareñ
ya.anī kuchh un ko bhī taḌpāyā kareñ
is tarah ho yuuñ kareñ aisā kareñ
un se milne kā koī chārā kareñ
aap to jo kuchh kareñ achchhā kareñ
ham kaheñ to shikva-e-be-jā kareñ
maut bhī māñge se miltī hai kahāñ
phir ye kyūñkar ho ki vo aayā kareñ
vo abhī aa.eñ chale jaa.eñ abhī
ghar ko vo gulshan kabhī sahrā kareñ
chāhne par aap ke mauqūf hai
aap chāheñ to abhī achchhā kareñ
ban sake un se na kuchh aa.e baġhair
apne dil meñ vo kashish paidā kareñ
'sā.ib' apne vaqt par aatī hai maut
zindagī se laakh uktāyā kareñ
aaj un par raaz-e-dil ifsha karen
husn ko maghrur-o-KHud-ara karen
chand din un ko na ab dekha karen
yani kuchh un ko bhi taDpaya karen
is tarah ho yun karen aisa karen
un se milne ka koi chaara karen
aap to jo kuchh karen achchha karen
hum kahen to shikwa-e-be-ja karen
maut bhi mange se milti hai kahan
phir ye kyunkar ho ki wo aaya karen
wo abhi aaen chale jaen abhi
ghar ko wo gulshan kabhi sahra karen
chahne par aap ke mauquf hai
aap chahen to abhi achchha karen
ban sake un se na kuchh aae baghair
apne dil mein wo kashish paida karen
'saib' apne waqt par aati hai maut
zindagi se lakh uktaya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.