aaj uske dil mein dekha dusra apni jagah
aaj us ke dil meñ dekhā dūsrā apnī jagah
phir jo apne dil meñ dekhā kuchh na thā apnī jagah
kyoñ na kashtī se utar kar sajda sāhil par karūñ
nāḳhudā apnī jagah hai aur ḳhudā apnī jagah
hijr dukh-dā.ī hai to kyā 'ishq karnā chhoḌ deñ
fāsla apnī jagah hai rāsta apnī jagah
gir nahīñ sakte sitāre terī jholī meñ kabhī
āsmānī she'r paḌh kar baiTh jā apnī jagah
shā'iroñ ko qais se islāh lenī chāhiye
falsafa apnī jagah hai tajraba apnī jagah
ham jo kahnā chāhte the kah nahīñ paa.e kabhī
sochnā apnī jagah hai bolnā apnī jagah
aaj bhī mahfil meñ us kī jashn puurā ho gayā
rah gayā is baar bhī maiñ DhūñDtā apnī jagah
aaj us ke dil mein dekha dusra apni jagah
phir jo apne dil mein dekha kuchh na tha apni jagah
kyon na kashti se utar kar sajda sahil par karun
naKHuda apni jagah hai aur KHuda apni jagah
hijr dukh-dai hai to kya 'ishq karna chhoD den
fasla apni jagah hai rasta apni jagah
gir nahin sakte sitare teri jholi mein kabhi
aasmani she'r paDh kar baiTh ja apni jagah
sha'iron ko qais se islah leni chahiye
falsafa apni jagah hai tajraba apni jagah
hum jo kahna chahte the kah nahin pae kabhi
sochna apni jagah hai bolna apni jagah
aaj bhi mahfil mein us ki jashn pura ho gaya
rah gaya is bar bhi main DhunDta apni jagah
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 111)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.