aaj usne kaha hai aane ko
aaj us ne kahā hai aane ko
niiñd aatī nahīñ zamāne ko
kyā kahā tū ne mujh se ai sayyād
chhoḌ duuñ apne āshiyāne ko
merī barbādiyoñ se ye sach hai
dars mil jā.egā zamāne ko
un kī āñkhoñ ko dekh kar sochā
kaun jaa.e sharāb-ḳhāne ko
aaj nārāz ho ga.e vo bhī
aur kyā chāhiye zamāne ko
bhuul baiThe haiñ ḳhud ko ai 'māhir'
ham chale the unheñ bhulāne ko
aaj us ne kaha hai aane ko
nind aati nahin zamane ko
kya kaha tu ne mujh se ai sayyaad
chhoD dun apne aashiyane ko
meri barbaadiyon se ye sach hai
dars mil jaega zamane ko
un ki aankhon ko dekh kar socha
kaun jae sharab-KHane ko
aaj naraaz ho gae wo bhi
aur kya chahiye zamane ko
bhul baiThe hain KHud ko ai 'mahir'
hum chale the unhen bhulane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.