aaj usne naqab ulTa hai
aaj us ne naqāb ulTā hai
parda-e-āftāb ulTā hai
jalva-farmā haiñ vo lab-e-dariyā
manzar-e-āb-o-tāb ulTā hai
bahr-e-hastī meñ misl-e-kāsa-e-sar
dekhiye har habāb ulTā hai
aap kā bhī koī javāb nahīñ
baat kā har javāb ulTā hai
raah sīdhī kise dikhā.eñ ham
ye zamāna janāb ulTā hai
pesh-e-ā.īna likh rahe hoñge
mere ḳhat kā javāb ulTā hai
hashr meñ aur bhī to the 'āsī'
us ne merā hī baab ulTā hai
aaj us ne naqab ulTa hai
parda-e-aftab ulTa hai
jalwa-farma hain wo lab-e-dariya
manzar-e-ab-o-tab ulTa hai
bahr-e-hasti mein misl-e-kasa-e-sar
dekhiye har habab ulTa hai
aap ka bhi koi jawab nahin
baat ka har jawab ulTa hai
rah sidhi kise dikhaen hum
ye zamana janab ulTa hai
pesh-e-aina likh rahe honge
mere KHat ka jawab ulTa hai
hashr mein aur bhi to the 'asi'
us ne mera hi bab ulTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.