aaj wo KHushbu mere gulzar mein bhi aaegi
aaj vo ḳhushbū mire gulzār meñ bhī aa.egī
us ke aane se mahak ash.ār meñ bhī aa.egī
ḳhvāb meñ dekhā thā us ko ye to sochā bhī na thā
vo mire kāshāna-e-afkār meñ bhī aa.egī
nā-balad honā duā-e-nūh se achchhā nahīñ
kashtī-e-hastī tirī mañjdhār meñ bhī aa.egī
kah rahī hai regzāroñ se na.ī rut kī havā
ab bahār-e-be-ḳhizāñ kohsār meñ bhī aa.egī
us ne farsh-e-bāġh par chhiḌkī hai āñkhoñ se sharāb
mastī-e-mai ab gul-o-gulzār meñ bhī aa.egī
be-navā lafzoñ ko baḳhsheñge agar e.azāz ham
tāzgī pairāya-e-iz.hār meñ bhī aa.egī
haar kī sharmindagī se bach gayā merā harīf
kyā ḳhabar thī ye ḳhabar aḳhbār meñ bhī aa.egī
bik rahe haiñ marmarī jism ek roTī ke evaz
ye girāvaT ab suḳhan-bāzār meñ bhī aa.egī
vo bhī din aa.egā jab shahzādī-e-mulk-e-suḳhan
mujh se milne ko baḌe darbār meñ bhī aa.egī
sāhiloñ par ghar banā.eñge agar 'shībān' ham
kuchh namī ghar ke dar-o-dīvār meñ bhī aa.egī
aaj wo KHushbu mere gulzar mein bhi aaegi
us ke aane se mahak ashaar mein bhi aaegi
KHwab mein dekha tha us ko ye to socha bhi na tha
wo mere kashana-e-afkar mein bhi aaegi
na-balad hona dua-e-nuh se achchha nahin
kashti-e-hasti teri manjdhaar mein bhi aaegi
kah rahi hai regzaron se nai rut ki hawa
ab bahaar-e-be-KHizan kohsar mein bhi aaegi
us ne farsh-e-bagh par chhiDki hai aankhon se sharab
masti-e-mai ab gul-o-gulzar mein bhi aaegi
be-nawa lafzon ko baKHshenge agar eazaz hum
tazgi pairaya-e-izhaar mein bhi aaegi
haar ki sharmindagi se bach gaya mera harif
kya KHabar thi ye KHabar aKHbar mein bhi aaegi
bik rahe hain marmari jism ek roTi ke ewaz
ye girawaT ab suKHan-bazar mein bhi aaegi
wo bhi din aaega jab shahzadi-e-mulk-e-suKHan
mujh se milne ko baDe darbar mein bhi aaegi
sahilon par ghar banaenge agar 'shiban' hum
kuchh nami ghar ke dar-o-diwar mein bhi aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.