aaj yun dil mein teri yaad hui hai bedar
aaj yuuñ dil meñ tirī yaad huī hai bedār
jaise ma.asūm se chehre pe tabassum kī phuvār
tā-kujā zulf-o-lab-o-ruḳh kī ye komal jhankār
sun sako gar to suno vaqt ke zaḳhmoñ kī pukār
jumbish-e-lab kī sazā aaj bhī is duniyā meñ
tauq-o-zanjīr kahīñ hai to kahīñ manzil-e-dār
jis taraf dekhiye jalve haiñ tirī qudrat ke
har taraf dekhiye riste hue zaḳhmoñ kī bahār
aaj jo dhaj hai tire kūche kī pahle to na thī
yuuñ to guzre haiñ inhī rastoñ se ham saikḌoñ baar
pursish-e-ġham hī bahut hai ki zamāne meñ 'ayāz'
kis ko fursat jo kare baiTh ke zaḳhmoñ kā shumār
aaj yun dil mein teri yaad hui hai bedar
jaise masum se chehre pe tabassum ki phuwar
ta-kuja zulf-o-lab-o-ruKH ki ye komal jhankar
sun sako gar to suno waqt ke zaKHmon ki pukar
jumbish-e-lab ki saza aaj bhi is duniya mein
tauq-o-zanjir kahin hai to kahin manzil-e-dar
jis taraf dekhiye jalwe hain teri qudrat ke
har taraf dekhiye riste hue zaKHmon ki bahaar
aaj jo dhaj hai tere kuche ki pahle to na thi
yun to guzre hain inhi raston se hum saikDon bar
pursish-e-gham hi bahut hai ki zamane mein 'ayaz'
kis ko fursat jo kare baiTh ke zaKHmon ka shumar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.