aaj yun hi sar-ba-sar dil bahut udas hai
aaj yuuñ hī sar-ba-sar dil bahut udaas hai
baat kuchh nahīñ magar dil bahut udaas hai
jism hai thakā huā hausla niDhāl hai
aur sab se peshtar dil bahut udaas hai
shahr-e-mumkināt meñ ho ke na ummīd maiñ
phir rahā huuñ dar-ba-dar dil bahut udaas hai
phir hañsī ko dekh kar sab fareb khā ga.e
hai bhalā kise ḳhabar dil bahut udaas hai
phir vo qurb-e-yār ho yā hañsī kī mahfileñ
kuchh nahīñ mazā agar dil bahut udaas hai
kis adam kī aur hai is vajūd kā safar
aaj ḳhud ko soch kar dil bahut udaas hai
ab tire savāl kā kyā javāb duuñ bhalā
baat ye hai muḳhtasar dil bahut udaas hai
yuuñ bhī tere dard kā bas yahī ilaaj hai
mai-kade meñ chal 'amar' dil bahut udaas hai
aaj yun hi sar-ba-sar dil bahut udas hai
baat kuchh nahin magar dil bahut udas hai
jism hai thaka hua hausla niDhaal hai
aur sab se peshtar dil bahut udas hai
shahr-e-mumkinat mein ho ke na ummid main
phir raha hun dar-ba-dar dil bahut udas hai
phir hansi ko dekh kar sab fareb kha gae
hai bhala kise KHabar dil bahut udas hai
phir wo qurb-e-yar ho ya hansi ki mahfilen
kuchh nahin maza agar dil bahut udas hai
kis adam ki aur hai is wajud ka safar
aaj KHud ko soch kar dil bahut udas hai
ab tere sawal ka kya jawab dun bhala
baat ye hai muKHtasar dil bahut udas hai
yun bhi tere dard ka bas yahi ilaj hai
mai-kade mein chal 'amar' dil bahut udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.