aajizi to hai nahin guftar mein
'ājizī to hai nahīñ guftār meñ
kaun pūchhegā hameñ darbār meñ
nafsiyātī nuqs hai do-chār meñ
varna hai sab kā ‘aqīda pyaar meñ
sang rakhtā hai use jo ye gulāb
kuchh to dekhā hogā āḳhir ḳhaar meñ
bārhā rotā hai dil ye soch kar
ban kaTegā shahr ke vistār meñ
pūchhne aa.e the merī ḳhairiyat
de ga.e ġham aur vo up.hār meñ
'mīr' 'ġhālib' 'zauq' sab kā shukriya
rang kyā kyā bhar ga.e ash'ār meñ
baiThā hai pardes meñ laḳht-e-jigar
kyā ḳhushī maañ ko mile tyauhār meñ
'ajizi to hai nahin guftar mein
kaun puchhega hamein darbar mein
nafsiyati nuqs hai do-chaar mein
warna hai sab ka ‘aqida pyar mein
sang rakhta hai use jo ye gulab
kuchh to dekha hoga aaKHir KHar mein
barha rota hai dil ye soch kar
ban kaTega shahr ke wistar mein
puchhne aae the meri KHairiyat
de gae gham aur wo uphaar mein
'mir' 'ghaalib' 'zauq' sab ka shukriya
rang kya kya bhar gae ash'ar mein
baiTha hai pardes mein laKHt-e-jigar
kya KHushi man ko mile tyauhaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.