aakar kisi ne KHwab mein jalwa dikha diya
aakar kisī ne ḳhvāb meñ jalva dikhā diyā
muusā kī tarah mujh ko bhī be-ḳhud banā diyā
ik tīr-e-nāz chupke se dil par chalā diyā
yā jaane kis ne ḳhūn-e-tamannā bahā diyā
is tarah maiñ ne kī hai adā rasm ishq kī
mehmāñ banā ke ġham ko kaleja khilā diyā
aadam kī ik fuġhāñ se larazne lagī zamīñ
jab aah kī to arsh-e-mua.allā hilā diyā
'ahmad' use surāhī-o-sāġhar se kyā ġharaz
saaqī ne jis ko apnī nazar se pilā diyā
aakar kisi ne KHwab mein jalwa dikha diya
musa ki tarah mujh ko bhi be-KHud bana diya
ek tir-e-naz chupke se dil par chala diya
ya jaane kis ne KHun-e-tamanna baha diya
is tarah main ne ki hai ada rasm ishq ki
mehman bana ke gham ko kaleja khila diya
aadam ki ek fughan se larazne lagi zamin
jab aah ki to arsh-e-mualla hila diya
'ahmad' use surahi-o-saghar se kya gharaz
saqi ne jis ko apni nazar se pila diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.