aaKHir ashkon mein ek andaz-e-payam aa hi gaya
āḳhir ashkoñ meñ ek andāz-e-payām aa hī gayā
zabt-e-ġham allāh rakkhe ye bhī kaam aa hī gayā
le ke manzil par mujhe shauq-e-tamām aa hī gayā
aaj un se bhī bichhaḌne kā maqām aa hī gayā
gāhe-gāhe aah kar lenā bhī kaam aa hī gayā
kam se kam tere havā-ḳhvāhoñ meñ naam aa hī gayā
jitnī jo piitā ho pī le daur-e-jām aa hī gayā
qadr-dān-e-har-tamām-o-nā-tamām aa hī gayā
haa.e duzdīda-nigāhoñ meñ vo rang-e-iltifāt
us ne jo bhejā na thā vo bhī payām aa hī gayā
go rahā sharminda-e-ehsās ranj-e-tishnagī
phir bhī lutf-e-intizār-e-daur-e-jām aa hī gayā
himmat-e-parvāz ye bhī kāmyābī kam nahīñ
go chaman tak maiñ na pahuñchā zer-e-dām aa hī gayā
aaKHir ashkon mein ek andaz-e-payam aa hi gaya
zabt-e-gham allah rakkhe ye bhi kaam aa hi gaya
le ke manzil par mujhe shauq-e-tamam aa hi gaya
aaj un se bhi bichhaDne ka maqam aa hi gaya
gahe-gahe aah kar lena bhi kaam aa hi gaya
kam se kam tere hawa-KHwahon mein nam aa hi gaya
jitni jo pita ho pi le daur-e-jam aa hi gaya
qadr-dan-e-har-tamam-o-na-tamam aa hi gaya
hae duzdida-nigahon mein wo rang-e-iltifat
us ne jo bheja na tha wo bhi payam aa hi gaya
go raha sharminda-e-ehsas ranj-e-tishnagi
phir bhi lutf-e-intizar-e-daur-e-jam aa hi gaya
himmat-e-parwaz ye bhi kaamyabi kam nahin
go chaman tak main na pahuncha zer-e-dam aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.