aaKHir koi sharik-e-gham-e-bekasi to hai
āḳhir koī sharīk-e-ġham-e-bekasī to hai
ik sham.a raat bhar sar-e-bālīñ jalī to hai
is zindagī-e-ishq se ik zindagī to hai
mīThī sī ik ḳhalish mire dil meñ dabī to hai
yaad un kī sham.a-e-rāh-e-mohabbat huī to hai
mehr-o-vafā kī baat kuchh aage baḌhī to hai
har shauq nā-tamām hai har aarzū fareb
ham meñ zarūr dosto koī kamī to hai
āḳhir guzar hī jā.egī ġham kī tavīl raat
baaqī abhī charāġh meñ kuchh raushnī to hai
phūloñ se siikh ai dil-e-be-sabr sabr-o-zabt
dil meñ hazār zaḳhm hoñ lab par hañsī to hai
mujh par zamīñ hai tang magar koī ġham nahīñ
itne pe mutma.in huuñ ki terī galī to hai
mere dil-e-fasurda ko dekh ai bahār-e-nāz
maarī huī ḳhizāñ kī yahī ik kalī to hai
tū aur merī chashm-e-tasavvur meñ jalva-gar
ye bhī ḳhayāl-e-fikr kī bāzīgarī to hai
kyā ḳhauf-e-jashn hai ye shahīdān-e-nāz kā
gulshan meñ har taraf saf-e-mātam bichhī to hai
'muslim' duā.eñ dāġh-e-mohabbat ko dījiye
is se dil-o-dimāġh meñ ik raushnī to hai
aaKHir koi sharik-e-gham-e-bekasi to hai
ek shama raat bhar sar-e-baalin jali to hai
is zindagi-e-ishq se ek zindagi to hai
miThi si ek KHalish mere dil mein dabi to hai
yaad un ki shama-e-rah-e-mohabbat hui to hai
mehr-o-wafa ki baat kuchh aage baDhi to hai
har shauq na-tamam hai har aarzu fareb
hum mein zarur dosto koi kami to hai
aaKHir guzar hi jaegi gham ki tawil raat
baqi abhi charagh mein kuchh raushni to hai
phulon se sikh ai dil-e-be-sabr sabr-o-zabt
dil mein hazar zaKHm hon lab par hansi to hai
mujh par zamin hai tang magar koi gham nahin
itne pe mutmain hun ki teri gali to hai
mere dil-e-fasurda ko dekh ai bahaar-e-naz
mari hui KHizan ki yahi ek kali to hai
tu aur meri chashm-e-tasawwur mein jalwa-gar
ye bhi KHayal-e-fikr ki bazigari to hai
kya KHauf-e-jashn hai ye shahidan-e-naz ka
gulshan mein har taraf saf-e-matam bichhi to hai
'muslim' duaen dagh-e-mohabbat ko dijiye
is se dil-o-dimagh mein ek raushni to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.