aaKHir shab-e-firaq ke taron ko kya karun
aaKHir shab-e-firaq ke taron ko kya karun
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
āḳhir shab-e-firāq ke tāroñ ko kyā karūñ
tere sivā hasīn nazāroñ ko kyā karūñ
ye aks-e-rang-e-gul bhī jalātā hai zaḳhm-e-dil
ab is chaman ke sard sharāroñ ko kyā karūñ
ab tak surūr hai mujhe terī hī bazm kā
ab bāda-e-safā ke ḳhumāroñ ko kyā karūñ
ġham terā ban chukā hai mire dil kā mā-hasal
begāna-e-ḳhushī huuñ qarāroñ ko kyā karūñ
ab daur hai ḳhizāoñ kā mere nasīb meñ
ab zindagī meñ aa.ī bahāroñ ko kyā karūñ
'sāqī' hai mujh ko ab to talātum kā intizār
kashtī ko kyā karūñ maiñ kināroñ ko kyā karūñ
aaKHir shab-e-firaq ke taron ko kya karun
tere siwa hasin nazaron ko kya karun
ye aks-e-rang-e-gul bhi jalata hai zaKHm-e-dil
ab is chaman ke sard shararon ko kya karun
ab tak surur hai mujhe teri hi bazm ka
ab baada-e-safa ke KHumaron ko kya karun
gham tera ban chuka hai mere dil ka ma-hasal
begana-e-KHushi hun qararon ko kya karun
ab daur hai KHizaon ka mere nasib mein
ab zindagi mein aai bahaaron ko kya karun
'saqi' hai mujh ko ab to talatum ka intizar
kashti ko kya karun main kinaron ko kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.