aaKHir tumhaare ishq mein barbaad ho sake
āḳhir tumhāre ishq meñ barbād ho sake
guzre kahāñ kahāñ se to shahzād ho sake
bastī ko apnī chhoḌ ke aayā hai ik faqīr
ḳhvāhish ki tere jism meñ ābād ho sake
muddat se apnī yaad bhī aatī nahīñ hameñ
tum jis ko yaad ho use kyā yaad ho sake
hoñToñ pe hoñT rakh de ki maiñ raakh ho sakūñ
merī na.e sire se phir ījād ho sake
par phaḌphaḌā rahā hai parinda badan meñ qaid
is pinjre ko khol ki āzād ho sake
fahrist le ke aa.e haiñ āshiq tire sabhī
ai kaash mere naam pe hī saad ho sake
aaKHir tumhaare ishq mein barbaad ho sake
guzre kahan kahan se to shahzad ho sake
basti ko apni chhoD ke aaya hai ek faqir
KHwahish ki tere jism mein aabaad ho sake
muddat se apni yaad bhi aati nahin hamein
tum jis ko yaad ho use kya yaad ho sake
honTon pe honT rakh de ki main rakh ho sakun
meri nae sire se phir ijad ho sake
par phaDphaDa raha hai parinda badan mein qaid
is pinjre ko khol ki aazad ho sake
fahrist le ke aae hain aashiq tere sabhi
ai kash mere nam pe hi sad ho sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.