aaKHir wo apne pyar ka izhaar kar gae
āḳhir vo apne pyaar kā iz.hār kar ga.e
inkār kar rahe the jo iqrār kar ga.e
chorī kā Dar nahīñ rahā dil ke makān meñ
jab se khaḌī vafā kī vo dīvār kar ga.e
un se mile na the to kabhī ham ġharīb the
de kar matā-e-ishq vo zardār kar ga.e
aa.e jo dil ḳharīdne bāzār-e-ishq meñ
nīlām apnā dil sar-e-bāzār kar ga.e
sad-āfrīñ ki so.e hue har javān ko
'jauhar' kalīmī zarb se bedār kar ga.e
aaKHir wo apne pyar ka izhaar kar gae
inkar kar rahe the jo iqrar kar gae
chori ka Dar nahin raha dil ke makan mein
jab se khaDi wafa ki wo diwar kar gae
un se mile na the to kabhi hum gharib the
de kar mata-e-ishq wo zardar kar gae
aae jo dil KHaridne bazar-e-ishq mein
nilam apna dil sar-e-bazar kar gae
sad-afrin ki soe hue har jawan ko
'jauhar' kalimi zarb se bedar kar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.