aaKHirash hum faqat hath malte rahe
āḳhirash ham faqat haath malte rahe
pyaar ke naam par log chhalte rahe
din-ba-din ishq kā rang phīkā paḌā
din-ba-din yaar ke va.ade Talte rahe
aage pīchhe koī jab na apne rahā
god meñ dard kī phūle phalte rahe
choT gahrī lagī ab lagī so lagī
ik dafa bas gire phir sañbhalte rahe
baad meñ ḳhaak meñ sab ke sab mil ga.e
ishq kī aag meñ jo bhī jalte rahe
chhoḌ kar ishq ko aur bhī kaam the
terī galiyoñ meñ yuuñ hī Tahalte rahe
zaḳhm-e-dil kā koī jab na chāra huā
dard baḌhtā gayā rog palte rahe
is divālī bhī 'sohil' huā phir vahī
aarzū bujh ga.ī diip jalte rahe
aaKHirash hum faqat hath malte rahe
pyar ke nam par log chhalte rahe
din-ba-din ishq ka rang phika paDa
din-ba-din yar ke wade Talte rahe
aage pichhe koi jab na apne raha
god mein dard ki phule phalte rahe
choT gahri lagi ab lagi so lagi
ek dafa bas gire phir sanbhalte rahe
baad mein KHak mein sab ke sab mil gae
ishq ki aag mein jo bhi jalte rahe
chhoD kar ishq ko aur bhi kaam the
teri galiyon mein yun hi Tahalte rahe
zaKHm-e-dil ka koi jab na chaara hua
dard baDhta gaya rog palte rahe
is diwali bhi 'sohil' hua phir wahi
aarzu bujh gai dip jalte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.