aaKHirash ek alamat haqiqat bani
āḳhirash ik alāmat haqīqat banī
baT ga.e the havāoñ meñ dukh-sukh sabhī
phir vahī be-karāñ ek be-kal ḳhalā
phir safar-tā-safar sirf ik gumrahī
ek uslūb-e-sāda rivāyat banā
phir fazāoñ pe ik tishnagī chhā ga.ī
yuuñ farāmoshiyāñ ho ga.iiñ kāmrāñ
be-hisī dil pe phir hukmrāñ ho ga.ī
ek bedār nashshe kī sūrat liye
khul ga.ī ruup kī shabnamī tāzgī
silsila toḌ kar shoḳh lamhāt kā
āgahī bechtā rah gayā aadmī
aaj māyūs manzar se ham bhī na the
phir fazāoñ meñ thī boltī ḳhāmushī
aaKHirash ek alamat haqiqat bani
baT gae the hawaon mein dukh-sukh sabhi
phir wahi be-karan ek be-kal KHala
phir safar-ta-safar sirf ek gumrahi
ek uslub-e-sada riwayat bana
phir fazaon pe ek tishnagi chha gai
yun faramoshiyan ho gain kaamran
be-hisi dil pe phir hukmran ho gai
ek bedar nashshe ki surat liye
khul gai rup ki shabnami tazgi
silsila toD kar shoKH lamhat ka
aagahi bechta rah gaya aadmi
aaj mayus manzar se hum bhi na the
phir fazaon mein thi bolti KHamushi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.