aaKHiri dad rakh ne di thi
āḳhirī daad raakh ne dī thī
maiñ ne ġhazloñ meñ aag de dī thī
chāhe phūloñ ke bhes meñ hī sahī
pahlī āvāz aapne dī thī
vo nahīñ jāntā ki us ko bhīkh
maiñ ne bhī bhīkh maañg ke dī thī
ghar meñ darvāza bhī nahīñ thā mire
us ne dastak bhī duur se dī thī
aap tanhā agar nahīñ the to
merī tanhā.ī kyoñ kuredī thī
aaKHiri dad rakh ne di thi
main ne ghazlon mein aag de di thi
chahe phulon ke bhes mein hi sahi
pahli aawaz aapne di thi
wo nahin jaanta ki us ko bhikh
main ne bhi bhikh mang ke di thi
ghar mein darwaza bhi nahin tha mere
us ne dastak bhi dur se di thi
aap tanha agar nahin the to
meri tanhai kyon kuredi thi
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 80)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.