aaKHiri parda gira rahne diya
āḳhirī parda girā rahne diyā
rāsta khoyā huā rahne diyā
vaqt ne sab 'aks mere chhīn kar
mujh meñ ik shahr-e-navā rahne diyā
jaate jaate bastiyoñ ko chhoḌ kar
baam par jaltā diyā rahne diyā
yuuñ to saare dard mere le gayā
jab kahā jitnā kahā rahne diyā
raaz saare ḳhud zamāne se kahe
jaane kyā mujh meñ chhupā rahne diyā
muddatoñ tak ḳhud meñ DhūñDhā thā jise
mil gayā to yuuñ paḌā rahne diyā
khelne ke sab bahāne chhīn kar
haath meñ ik jhunjhunā rahne diyā
aaKHiri parda gira rahne diya
rasta khoya hua rahne diya
waqt ne sab 'aks mere chhin kar
mujh mein ek shahr-e-nawa rahne diya
jate jate bastiyon ko chhoD kar
baam par jalta diya rahne diya
yun to sare dard mere le gaya
jab kaha jitna kaha rahne diya
raaz sare KHud zamane se kahe
jaane kya mujh mein chhupa rahne diya
muddaton tak KHud mein DhunDha tha jise
mil gaya to yun paDa rahne diya
khelne ke sab bahane chhin kar
hath mein ek jhunjhuna rahne diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.