aaKHiri zarb ko dil tir hua aaKHir-kar
āḳhirī zarb ko dil tiir huā āḳhir-kār
naḳhshab-e-husn bhī tasḳhīr huā āḳhir-kār
ḳhushbueñ mere ta.āqub se nahīñ baaz aa.iiñ
maiñ phir āmāda-e-taqsīr huā āḳhir-kār
ek sho.ala sar-e-qirtās-e-badan aa ke girā
āḳhirī harf bhī tahrīr huā āḳhir-kār
sang-o-ḳhisht us kī navāzish se hue ġhuncha-o-gul
ḳhatm mujh par fan-e-ta.amīr huā āḳhir-kār
sāl-hā-sāl se mahke na the dastak ke gulāb
sāme.a paikar-e-tasvīr huā āḳhir-e-kār
imtihāñ apnī nigāhoñ kā thā manzūr mujhe
munqata.a rishta-e-zanjīr huā āḳhir-kār
mere atrāf meñ khīñchā gayā āñkhoñ kā hisār
shor vābasta-e-tash.hīr huā āḳhir-kār
gosha-e-zehn meñ ik nukta-e-mauhūm kā raqs
raqs-e-kaunain kī tafsīr huā āḳhir-kār
aaKHiri zarb ko dil tir hua aaKHir-kar
naKHshab-e-husn bhi tasKHir hua aaKHir-kar
KHushbuen mere taaqub se nahin baz aain
main phir aamada-e-taqsir hua aaKHir-kar
ek shoala sar-e-qirtas-e-badan aa ke gira
aaKHiri harf bhi tahrir hua aaKHir-kar
sang-o-KHisht us ki nawazish se hue ghuncha-o-gul
KHatm mujh par fan-e-tamir hua aaKHir-kar
sal-ha-sal se mahke na the dastak ke gulab
samea paikar-e-taswir hua aaKHir-e-kar
imtihan apni nigahon ka tha manzur mujhe
munqata rishta-e-zanjir hua aaKHir-kar
mere atraf mein khincha gaya aankhon ka hisar
shor wabasta-e-tashhir hua aaKHir-kar
gosha-e-zehn mein ek nukta-e-mauhum ka raqs
raqs-e-kaunain ki tafsir hua aaKHir-kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.