aalam-e-hu tere wahshi ne jab aabaad kiya
aalam-e-hu tere wahshi ne jab aabaad kiya
Mirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
MORE BYMirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
ālam-e-hū tire vahshī ne jab ābād kiyā
arsh ko phūñk diyā farsh ko barbād kiyā
tere jalve ne dil-e-zār ko ābād kiyā
tū hameñ bhuul gayā ham ne tujhe yaad kiyā
ye pas-e-girya-o-zārī ḳhalish-e-pā kaisī
shāyad ab vādī-e-vahshat ne mujhe yaad kiyā
chand tinke the faqat merā nasheman kyā thā
un pe bhī barq girī un ko bhī barbād kiyā
ham se pūchhe koī anjām-e-mohabbat kyā hai
ham ne aalam tah-o-bālā dam-e-fariyād kiyā
apnī nākāmī-e-taqdīr pe rone vaale
va.ada-e-roz-e-azal tū ne kabhī yaad kiyā
thī yahī āqibat-andeshī-e-dil ai 'zāhir'
mujh ko be-fā.eda kam-baḳht ne barbād kiyā
aalam-e-hu tere wahshi ne jab aabaad kiya
arsh ko phunk diya farsh ko barbaad kiya
tere jalwe ne dil-e-zar ko aabaad kiya
tu hamein bhul gaya hum ne tujhe yaad kiya
ye pas-e-girya-o-zari KHalish-e-pa kaisi
shayad ab wadi-e-wahshat ne mujhe yaad kiya
chand tinke the faqat mera nasheman kya tha
un pe bhi barq giri un ko bhi barbaad kiya
hum se puchhe koi anjam-e-mohabbat kya hai
hum ne aalam tah-o-baala dam-e-fariyaad kiya
apni nakaami-e-taqdir pe rone wale
wada-e-roz-e-azal tu ne kabhi yaad kiya
thi yahi aaqibat-andeshi-e-dil ai 'zahir'
mujh ko be-faeda kam-baKHt ne barbaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.