aalam-e-sajda hai mera ek aalam nur ka
ālam-e-sajda hai merā ek aalam nuur kā
sajda-gah par merī dhokā ho rahā hai tuur kā
ek aalam ham-navā hai sāhib-e-maqdūr kā
saath detā hai kahāñ koī kisī majbūr kā
shiddat-e-ehsās-e-tanhā.ī kī haiñ hamdardiyāñ
dard baḌh jaatā hai aksar raat ko ranjūr kā
tiir ne naapī haiñ shāyad zaḳhm kī gahrā.iyāñ
ilm bechāre ko kyā hai sadma-e-mastūr kā
sham.a raushan hai kahāñ is kā pata chaltā nahīñ
par nazar ko hai yaqīñ maujūdgī-e-nūr kā
haiñ kabhī nazreñ tamanna par kabhī ummīd par
ya.anī hasrat-nāk aalam hai dil-e-majbūr kā
tujh meñ aur tere tasavvur meñ zarā sā farq hai
ek manzar paas kā hai ek manzar duur kā
sarfarāzī-o-navāzish kā sunā hai sirf naam
ai 'zakī' un se to rishta bhī nahīñ hai duur kā
aalam-e-sajda hai mera ek aalam nur ka
sajda-gah par meri dhoka ho raha hai tur ka
ek aalam ham-nawa hai sahib-e-maqdur ka
sath deta hai kahan koi kisi majbur ka
shiddat-e-ehsas-e-tanhai ki hain hamdardiyan
dard baDh jata hai aksar raat ko ranjur ka
tir ne napi hain shayad zaKHm ki gahraiyan
ilm bechaare ko kya hai sadma-e-mastur ka
shama raushan hai kahan is ka pata chalta nahin
par nazar ko hai yaqin maujudgi-e-nur ka
hain kabhi nazren tamanna par kabhi ummid par
yani hasrat-nak aalam hai dil-e-majbur ka
tujh mein aur tere tasawwur mein zara sa farq hai
ek manzar pas ka hai ek manzar dur ka
sarfaraazi-o-nawazish ka suna hai sirf nam
ai 'zaki' un se to rishta bhi nahin hai dur ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.