aalam ho koi sahib-e-kirdar milenge
'ālam ho koī sāhib-e-kirdār mileñge
ham ahl-e-muhabbat haiñ vafādār mileñge
shaidā.ī vatan ke hoñ ki kundan se badan ke
dīvāne sadā surḳhi-e-aḳhbār mileñge
duniyā unheñ dīvāna samajhtī hai to samjhe
zehn un ke tirī raah meñ bedār mileñge
jis ghar meñ tire chāhne vaale nazar aa.eñ
us ghar ke mo'attar dar-o-dīvār mileñge
ġham ke hoñ ḳhushī ke hoñ ḳhirad ke ki junūñ ke
bin us ke sabhī rāste dushvār mileñge
shohrat kī jinheñ bhuuk na daulat kī havas ho
is daur meñ aise kahāñ fankār mileñge
un ko koī tūfān kahāñ rok sakā hai
'gulshan' ho yaqīñ jin ko vo us paar mileñge
'alam ho koi sahib-e-kirdar milenge
hum ahl-e-muhabbat hain wafadar milenge
shaidai watan ke hon ki kundan se badan ke
diwane sada surKHi-e-aKHbar milenge
duniya unhen diwana samajhti hai to samjhe
zehn un ke teri rah mein bedar milenge
jis ghar mein tere chahne wale nazar aaen
us ghar ke mo'attar dar-o-diwar milenge
gham ke hon KHushi ke hon KHirad ke ki junun ke
bin us ke sabhi raste dushwar milenge
shohrat ki jinhen bhuk na daulat ki hawas ho
is daur mein aise kahan fankar milenge
un ko koi tufan kahan rok saka hai
'gulshan' ho yaqin jin ko wo us par milenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.