aalam teri yaadon ka munazzam to hua hai
aalam tirī yādoñ kā munazzam to huā hai
phir ek nayā silsila paiham to huā hai
ḳhatre ke nishāñ par thā tire husn kā dariyā
Takrā ke mire ishq se kuchh kam to huā hai
hindū kī hai he jis meñ musalmān kī hai m
vo lafz koī aur nahīñ ham to huā hai
do chaar tire ġham jo mile mujh ko ḳhusūsan
tujh meñ jo aqīda thā musallam to huā hai
ham rail kī paTrī kī tarah hī sahī lekin
mushtarka to rasta hai vo bāham to huā hai
phūloñ meñ chhupā kar jo mujhe bhejā thā patthar
vo tanz mire zaḳhm kā marham to huā hai
maanā ki tū zālim ke barābar nahīñ ai 'aks'
ūñchā.ī pe lekin mirā parcham to huā hai
aalam teri yaadon ka munazzam to hua hai
phir ek naya silsila paiham to hua hai
KHatre ke nishan par tha tere husn ka dariya
Takra ke mere ishq se kuchh kam to hua hai
hindu ki hai he jis mein musalman ki hai m
wo lafz koi aur nahin hum to hua hai
do chaar tere gham jo mile mujh ko KHususan
tujh mein jo aqida tha musallam to hua hai
hum rail ki paTri ki tarah hi sahi lekin
mushtarka to rasta hai wo baham to hua hai
phulon mein chhupa kar jo mujhe bheja tha patthar
wo tanz mere zaKHm ka marham to hua hai
mana ki tu zalim ke barabar nahin ai 'aks'
unchai pe lekin mera parcham to hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.